Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai

kabhi kabhi mujh ko jaan paDta hai

jaise mujh mein

ghira hua parbaton se

KHali sa ek mahal ho

jahan kabhi

budh ke ilm ka ek KHazana tha

jis jagah

shlok aur mantar mahaul mein

nahin

KHud mere hi andar

meri sada mein

himaliyai hawaon ki tarah gunjte the

ajib azmat ke sath main yun alag-thalak tha

ki jis tarah meri maut ki baat

qarnaha qarn se hai wo raaz

main hi bas jis ko jaanta hun

main apne andar wo aatma hun

jise kabhi

ek azim peshen-goi ka sail-e-be-samaat

mahal samet aasman mein le uDa tha

ya phir

main ek tanaw hun

aasmanon ki samt

bachpan ke hairat-angez KHwab ke be bane mahal sa

jahan mere chaaron samt rahen

safed ret aur barf ki

apni apni had se

meri taraf baDh rahi hain

jaise

main dewtaon ka hun wo maskan

jo sab ko apni taraf bulata hai aur

sab ki pahunch se kuchh is tarah pare hai

ki jaise main dekhne ki had hun

main ek parbat hun

wadiyan jis ne banT di hain

main ek gupha hun

jo wadiyon ko mila rahi hai

main jaise sadiyon ki yatra ki wo gahri aawaz hun jo ab tak

gupha ke andar se aa rahi hai

main ek bhikshu hun

jo kabhi ka

isi gupha mein sama chuka hai

jo KHud mein tashkil ho raha tha

jo KHud mein tashkil ho raha hai

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai in PDF.