Soch Ka Saniya Dam Bhar Ko Gaya Yar Ke Pas

soch ka saniya dam bhar ko gaya yar ke pas

panw be-saKHta le aae mujhe kar ke pas

ek patthar hai ki bas surKH hua jata hai

koi pahron se khaDa hai kisi diwar ke pas

ghanTiyan shor machati hain mere kanon mein

phone murda hai magar bistar-e-bedar ke pas

kis tarah barf-bhari raat guzari hogi

main bhi maujud na tha yar-e-tarah-dar ke pas

ibrat-amoz hai darbar-e-shab-o-roz ka taj

tasht-e-tariKH mein sar rakkhe hain dastar ke pas

chashm-e-lala pe siyah paTTiyan bandhin 'mansur'

suliyan gaDne wale gul-o-gulzar ke pas

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soch Ka Saniya Dam Bhar Ko Gaya Yar Ke Pas In English By Famous Poet Mansoor Aafaque. Soch Ka Saniya Dam Bhar Ko Gaya Yar Ke Pas is written by Mansoor Aafaque. Read famous Poem Soch Ka Saniya Dam Bhar Ko Gaya Yar Ke Pas for youth and Student by Mansoor Aafaque. Free Download Soch Ka Saniya Dam Bhar Ko Gaya Yar Ke Pas in PDF.