Use Bhi Rabt-e-rihaish Tamam Karna Tha

use bhi rabt-e-rihaish tamam karna tha

mujhe bhi apna koi intizam karna tha

nigar-KHane se us ne bhi rang lene the

mujhe bhi sham ka kuchh ehtimam karna tha

mujhe bhi kahni thi ek nazm us ke lahje par

use bhi ishq mein kuchh apna nam karna tha

bas ek lunch hi mumkin tha jaldi jaldi mein

use bhi jaana tha mujh ko bhi kaam karna tha

charagh jalte the jis ke ek ek aasan mein

us ek raat ka kya iKHtitam karna tha

koi kitab girani thi koi sandesa

kisi tarah to use ham-kalam karna tha

bas ek raat bhi guzri nahin wahan 'mansur'

tamam umr jahan par qayam karna tha

(344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use Bhi Rabt-e-rihaish Tamam Karna Tha In English By Famous Poet Mansoor Aafaque. Use Bhi Rabt-e-rihaish Tamam Karna Tha is written by Mansoor Aafaque. Read famous Poem Use Bhi Rabt-e-rihaish Tamam Karna Tha for youth and Student by Mansoor Aafaque. Free Download Use Bhi Rabt-e-rihaish Tamam Karna Tha in PDF.