Dard-e-dil ZaKHm-e-jigar Ka Raazdan Koi Nahin

dard-e-dil zaKHm-e-jigar ka raazdan koi nahin

waqif-e-asrar-e-gham aazar-e-jaan koi nahin

pas jis ke kuchh nahin mal-o-mata-e-be-baha

us ko kya gham ki muhafiz pasban koi nahin

kya suluk ham-sae ka batlae ek KHana-ba-dosh

be-dar-o-diwar sa jis ka makan koi nahin

dad ke laeq amir-e-shahr hi ki zat hai

kyunki ab footpath par bhi be-aman koi nahin

KHana-e-dil tak mere koi gaya to hai zarur

naqsh pa ka chhoDa hai lekin nishan koi nahin

rose kuchh aise guzarte is jahan se hain zarur

hae jis ka rone wala nauha-KHwan koi nahin

aabru allah ne 'KHushtar' jabin ki rakkhi hai

jis ka is dar ke siwa hai aastan koi nahin

(588) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard-e-dil ZaKHm-e-jigar Ka Raazdan Koi Nahin In English By Famous Poet Mansoor Khushtar. Dard-e-dil ZaKHm-e-jigar Ka Raazdan Koi Nahin is written by Mansoor Khushtar. Read famous Poem Dard-e-dil ZaKHm-e-jigar Ka Raazdan Koi Nahin for youth and Student by Mansoor Khushtar. Free Download Dard-e-dil ZaKHm-e-jigar Ka Raazdan Koi Nahin in PDF.