GhaT Gai Hai Qadr-o-qimat Aaj Ke Insan Ki

ghaT gai hai qadr-o-qimat aaj ke insan ki

hum pe ghaalib ho gain makkariyan shaitan ki

jis tarah bhi dekhiye dahshat ka ek mahaul hai

ek khilaune ke barabar haisiyat hai jaan ki

ab dukan bazar mein ahl-e-KHirad ki band hai

ab ijara-dari hai danai par nadan ki

main ne ye sachchai jaani hai bahut khone ke baad

dosti achchhi nahin hoti kabhi nadan ki

zindagi ki mushkilon ka hal hai apna hausla

kuchh usi se hoti hai kheti hari arman ki

zor-e-baatil ko zamane mein mayassar hai farogh

aabru KHatre mein hai ab sahib-e-iman ki

zinda rahna aaj kal 'KHushtar' bahut dushwar hai

baala-dasti aaj dekhi jati hai balwan ki

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GhaT Gai Hai Qadr-o-qimat Aaj Ke Insan Ki In English By Famous Poet Mansoor Khushtar. GhaT Gai Hai Qadr-o-qimat Aaj Ke Insan Ki is written by Mansoor Khushtar. Read famous Poem GhaT Gai Hai Qadr-o-qimat Aaj Ke Insan Ki for youth and Student by Mansoor Khushtar. Free Download GhaT Gai Hai Qadr-o-qimat Aaj Ke Insan Ki in PDF.