Tere Jaur-o-jafa Ka Hum Kabhi Shikwa Nahin Karte

tere jaur-o-jafa ka hum kabhi shikwa nahin karte

mohabbat jis se karte hain use ruswa nahin karte

hamare shewa-e-taslim ki bhi qadr kar tu kuchh

ki fariyaad-o-fughan aah-o-buka nala nahin karte

mohabbat mein bhi hum mear ka kuchh pas rakhte hain

kisi haalat mein bhi KHuddari ka sauda nahin karte

mohabbat karne walon ka alag ek apna mazhab hai

wo rah-e-ishq mein sud-o-ziyan dekha nahin karte

raqibon ko sar-e-mahfil jo bazu mein biThate hain

dil-azari meri karte hain aap achchha nahin karte

hai poshida yahan bhi apni izzat hi ka ek pahlu

kisi se bad-suluki ka teri charcha nahin karte

gawara ehtiyat aisi mohabbat mein hai 'KHushtar' ko

ki us ke nam se mansub sher apna nahin karte

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Jaur-o-jafa Ka Hum Kabhi Shikwa Nahin Karte In English By Famous Poet Mansoor Khushtar. Tere Jaur-o-jafa Ka Hum Kabhi Shikwa Nahin Karte is written by Mansoor Khushtar. Read famous Poem Tere Jaur-o-jafa Ka Hum Kabhi Shikwa Nahin Karte for youth and Student by Mansoor Khushtar. Free Download Tere Jaur-o-jafa Ka Hum Kabhi Shikwa Nahin Karte in PDF.