Mera Maslak Hai Mohabbat Dosti Shewa Mera

mera maslak hai mohabbat dosti shewa mera

meri manzil bhi yahi hai aur yahi rasta mera

kyun kisi se kuchh bayan karta bhi main rudad-e-gham

haal-e-dil ka aaina bhi mera hai chehra mera

apni waza-dari ne hone diya ruswa nahin

go raha mahrumiyon se umr-bhar rishta mera

aabla-pai se kab sahra-nawardi ruk saki

ek rafiq-e-rah ki surat hai zaKHm-e-pa mera

doston ko ho mubarak bhi faza-e-gulistan

rah kab se dekhta hai daman-e-sahra mera

waza-dari doston se ho saki itni nahin

dushmanon mein raat-din to hota hai charcha mera

aap hi ne to mohabbat se kaha tha ek din

aashiq-e-jaan-baz hai 'KHushtar' faqat tanha mera

(373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Maslak Hai Mohabbat Dosti Shewa Mera In English By Famous Poet Mansoor Khushtar. Mera Maslak Hai Mohabbat Dosti Shewa Mera is written by Mansoor Khushtar. Read famous Poem Mera Maslak Hai Mohabbat Dosti Shewa Mera for youth and Student by Mansoor Khushtar. Free Download Mera Maslak Hai Mohabbat Dosti Shewa Mera in PDF.