Aawargi Ne Dil Ki Ajab Kaam Kar Diya

aawargi ne dil ki ajab kaam kar diya

KHwabon ko bojh nindon ko ilzam kar diya

kuchh aansu apne pyar ki pahchan ban gae

kuchh aansuon ne pyar ko bad-nam kar diya

jis ko bachae rakhne mein ajdad bik gae

hum ne usi haweli ko nilam kar diya

dil ko bacha ke rakkha tha duniya se aaj tak

le aaj hum ne ye bhi tere nam kar diya

tum ne nazar jhuka ke jahan baat kaT di

hum ne wahin fasane ka anjam kar diya

(470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aawargi Ne Dil Ki Ajab Kaam Kar Diya In English By Famous Poet Mansoor Usmani. Aawargi Ne Dil Ki Ajab Kaam Kar Diya is written by Mansoor Usmani. Read famous Poem Aawargi Ne Dil Ki Ajab Kaam Kar Diya for youth and Student by Mansoor Usmani. Free Download Aawargi Ne Dil Ki Ajab Kaam Kar Diya in PDF.