KHud Aap-apni Zad Mein Sitam-gar Bhi Aaega

KHud aap-apni zad mein sitam-gar bhi aaega

tum muntazir raho ki ye manzar bhi aaega

is ret ke nagar ko na ghabrao dekh kar

aage baDho ki ek samundar bhi aaega

KHushbu ka qafila ye bahaaron ka silsila

pahuncha hai shahr tak to mere ghar bhi aaega

chalte ho mere sath to itna bhi soch lo

rahon mein meri gham ka samundar bhi aaega

maqtal ko ja raha hun ye 'mansur' soch kar

chhinTa koi lahu ka to un par bhi aaega

(463) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Aap-apni Zad Mein Sitam-gar Bhi Aaega In English By Famous Poet Mansoor Usmani. KHud Aap-apni Zad Mein Sitam-gar Bhi Aaega is written by Mansoor Usmani. Read famous Poem KHud Aap-apni Zad Mein Sitam-gar Bhi Aaega for youth and Student by Mansoor Usmani. Free Download KHud Aap-apni Zad Mein Sitam-gar Bhi Aaega in PDF.