Is Shahr Mein Chalti Hai Hawa Aur Tarah Ki

is shahr mein chalti hai hawa aur tarah ki

jurm aur tarah ke hain saza aur tarah ki

is bar to paimana uThaya bhi nahin tha

is bar thi rindon ki KHata aur tarah ki

hum aankhon mein aansu nahin late hain ki hum ne

pai hai wirasat mein ada aur tarah ki

is baat pe naraaz tha saqi ki sar-e-bazm

kyun aai piyalon se sada aur tarah ki

is daur mein mafhum-e-mohabbat hai tijarat

is daur mein hoti hai wafa aur tarah ki

shabnam ki jagah aag ki barish ho magar hum

'mansur' na mangenge dua aur tarah ki

(406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Shahr Mein Chalti Hai Hawa Aur Tarah Ki In English By Famous Poet Mansoor Usmani. Is Shahr Mein Chalti Hai Hawa Aur Tarah Ki is written by Mansoor Usmani. Read famous Poem Is Shahr Mein Chalti Hai Hawa Aur Tarah Ki for youth and Student by Mansoor Usmani. Free Download Is Shahr Mein Chalti Hai Hawa Aur Tarah Ki in PDF.