Hain Ek Saf Mein Qalandar Bhi Main Bhi Duniya Bhi

hain ek saf mein qalandar bhi main bhi duniya bhi

sitam-zada bhi sitamgar bhi main bhi duniya bhi

KHuda ke nam pe kya kya fareb dete hain

zamana-saz ye rahbar bhi main bhi duniya bhi

wo ek lamha ki hum sab lipaT ke roe the

udas raat ka manzar bhi main bhi duniya bhi

duaen mangte rahte hain tujh se milne ki

udas udas mera ghar bhi main bhi duniya bhi

safar pe nikle to akasr bhaTak gae jaanan

tumhaari yaad ke lashkar bhi main bhi duniya bhi

ghazal ke sanche mein Dhalte hain TuT jate hain

wafa ki rah ke patthar bhi main bhi duniya bhi

juda juda hain magar phir bhi sath hain 'mansur'

mohabbaton ke samundar bhi main bhi duniya bhi

(456) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Ek Saf Mein Qalandar Bhi Main Bhi Duniya Bhi In English By Famous Poet Mansoor Usmani. Hain Ek Saf Mein Qalandar Bhi Main Bhi Duniya Bhi is written by Mansoor Usmani. Read famous Poem Hain Ek Saf Mein Qalandar Bhi Main Bhi Duniya Bhi for youth and Student by Mansoor Usmani. Free Download Hain Ek Saf Mein Qalandar Bhi Main Bhi Duniya Bhi in PDF.