Shahr Ka Shahr Harif-e-lab-o-ruKHsar Mila

shahr ka shahr harif-e-lab-o-ruKHsar mila

nam mera hi likha kyun sar-e-diwar mila

sochte sochte dhundla gae yaadon ke nuqush

fikr ko mere na ab tak lab-e-izhaar mila

mushtahar kar diya itna teri chahat ne mujhe

nam ghar ghar mein mera surat-e-aKHbar mila

jis ki qurbat ko tarasta tha zamana kal tak

aaj wo shaKHs akela sar-e-bazar mila

meri sachchai ko is waqt saraha tu ne

sar pe jab bandh ke main jhuT ki dastar mila

aankhon aankhon hi mein lahraen bahaaren 'manzar'

ek shajar bhi na bhare bagh mein phaldar mila

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Ka Shahr Harif-e-lab-o-ruKHsar Mila In English By Famous Poet Manzar Ayubi. Shahr Ka Shahr Harif-e-lab-o-ruKHsar Mila is written by Manzar Ayubi. Read famous Poem Shahr Ka Shahr Harif-e-lab-o-ruKHsar Mila for youth and Student by Manzar Ayubi. Free Download Shahr Ka Shahr Harif-e-lab-o-ruKHsar Mila in PDF.