Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein

visal-o-hijr ke qisse na yun sunao hamein

ab is azab-e-shab-o-roz se bachao hamein

kisi bhi ghar mein sahi raushni to hai hum se

numud-e-subh se pahle to mat bujhao hamein

nahin hai KHun-e-shahidan ki koi qadr yahan

laga ke daw pe hum ko na yun ganwao hamein

tamam umr ka sauda hai ek pal ka nahin

bahut hi soch samajh kar gale lagao hamein

guzar chuke hain maqam-e-junun se diwane

ye jaan lena agar kal yahan na pao hamein

hamare KHun se nikhar jae gham to kya kahna

baDhao dast-e-sitam dar par chaDhao hamein

karishma-sazi-e-fikr-o-nazar se kya hasil

bane ho KHizr to phir rasta dikhao hamein

ye lamha bhar ka tasawwur to jaan-lewa hai

jo yaad aao to ta-umr yaad aao hamein

kitab-e-ishq hain lekin na itni farsuda

ki be-paDhe hi faqat mez par sajao hamein

ujaD na jae urus-e-suKHan ki mang kahin

KHayal-o-fan ki nai jang se bachao hamein

(401) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein In English By Famous Poet Manzar Ayubi. Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein is written by Manzar Ayubi. Read famous Poem Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein for youth and Student by Manzar Ayubi. Free Download Visal-o-hijr Ke Qisse Na Yun Sunao Hamein in PDF.