Ye Karishma-sazi-e-ishq Ki Meri Jaan Zinda Nazir Hai

ye karishma-sazi-e-ishq ki meri jaan zinda nazir hai

jo faqir tha wo amir hai jo amir tha wo faqir hai

meri KHwahishon ki bisat par ye jo ek surKH lakir hai

yahi ek lakir to asl mein nae mausamon ki safir hai

na wo sar-zamin na wo aasman magar aaj bhi sar-e-dasht-e-jaan

wahi hath hai wahi mushk hai wahi pyas hai wahi tir hai

kisi lab pe harf-e-sitam to ho koi dukh supurd-e-qalam to ho

ye baja ki shahr-e-malal mein koi 'faiz' hai koi 'mir' hai

mere ham-suKHan mere ham-zaban baDe KHush-guman baDe KHush-bayan

koi KHwahishon ka ghulam hai koi zulf-o-ruKH ka asir hai

ye ajib ruKH hai hayat ka nahin manzilon se jo aashna

wahi raston ka charagh hai wahi qafile ka amir hai

(369) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Karishma-sazi-e-ishq Ki Meri Jaan Zinda Nazir Hai In English By Famous Poet Manzar Ayubi. Ye Karishma-sazi-e-ishq Ki Meri Jaan Zinda Nazir Hai is written by Manzar Ayubi. Read famous Poem Ye Karishma-sazi-e-ishq Ki Meri Jaan Zinda Nazir Hai for youth and Student by Manzar Ayubi. Free Download Ye Karishma-sazi-e-ishq Ki Meri Jaan Zinda Nazir Hai in PDF.