Ye To Baja Ki Hum Rahen Chashm-e-karam Se Dur Dur

ye to baja ki hum rahen chashm-e-karam se dur dur

KHud bhi na rah sake magar aap jo hum se dur dur

dair-o-haram ki nafraten lauT chukin nashat-e-zist

rahrawan-e-rah-e-nau dair-o-haram se dur dur

ahl-e-jahan se kya hamein sirf malal is ka hai

aap bhi hum se bad-guman aap bhi hum se dur dur

mera mazaq-e-bandagi toD chuka hai riwayaten

aaj jabin hai aap ke naqsh-e-qadam se dur dur

ek udas tirgi qismat-e-baam dur hui

jab se tumhaari yaad hai sham-e-alam se dur dur

mai-kada-e-jahan mein hai ek hujum-e-mai-kashan

jam-e-sifal ke qarib saghar-e-jam se dur dur

dil mein KHayal-e-manzil-e-dar-o-rasan liye hue

aaj koi guzar gaya ku-e-sanam se dur dur

'manzar'-e-sada-dil jinhen dost samajh rahe the tum

aaj wahi wafa-sarisht ho gae hum se dur dur

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye To Baja Ki Hum Rahen Chashm-e-karam Se Dur Dur In English By Famous Poet Manzar Ayubi. Ye To Baja Ki Hum Rahen Chashm-e-karam Se Dur Dur is written by Manzar Ayubi. Read famous Poem Ye To Baja Ki Hum Rahen Chashm-e-karam Se Dur Dur for youth and Student by Manzar Ayubi. Free Download Ye To Baja Ki Hum Rahen Chashm-e-karam Se Dur Dur in PDF.