Sitamgaron Ke Sitam Ki UDan Kuchh Kam Hai

sitamgaron ke sitam ki uDan kuchh kam hai

abhi zamin ke liye aasman kuchh kam hai

jo is KHayal ko bhule to mare jaoge

ki apni samt qayamat ka dhyan kuchh kam hai

hamare shahr mein sab KHair-o-afiyat hai magar

yahi kami hai ki amn-o-aman kuchh kam hai

bana raha hai falak bhi azab mere liye

teri zamin pe kya imtihan kuchh kam hai

abhi shumar ke qabil hain zaKHm-e-dil mere

abhi wo dushman-e-jaan mehrban kuchh kam hai

idhar to dard ka pyala chhalakne wala hai

magar wo kahte hain ye dastan kuchh kam hai

hawa-e-waqt zara pairahan ki KHair mana

ye mat samajh ki parindon mein jaan kuchh kam hai

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitamgaron Ke Sitam Ki UDan Kuchh Kam Hai In English By Famous Poet Manzar Bhopali. Sitamgaron Ke Sitam Ki UDan Kuchh Kam Hai is written by Manzar Bhopali. Read famous Poem Sitamgaron Ke Sitam Ki UDan Kuchh Kam Hai for youth and Student by Manzar Bhopali. Free Download Sitamgaron Ke Sitam Ki UDan Kuchh Kam Hai in PDF.