Tum Ho Mahfil Mein To Meri Chashm-e-tar Dekhega Kaun

tum ho mahfil mein to meri chashm-e-tar dekhega kaun

chand ke aage bhala dagh-e-jigar dekhega kaun

yaad ke sukhe gulabon se saja hai dil ka bagh

zaKHm ye guzre dinon ke ab magar dekhega kaun

aap hi ki hai adalat aap hi munsif bhi hain

ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhega kaun

main hi apna mohtasib ban jaun warna dosto

gumrah-e-manzil hun ya hun rah par dekhega kaun

bijliyan bhar panw mein aage zamane se nikal

ban gaya jo tu ghubar-e-rah-guzar dekhega kaun

ek din mazlum ban jaenge zulmon ka jawab

apni barbaadi ka matam umr bhar dekhega kaun

'manzar' apne KHun se is shaKH ko sarsabz kar

gar zaban miT jaegi tera hunar dekhega kaun

(586) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Ho Mahfil Mein To Meri Chashm-e-tar Dekhega Kaun In English By Famous Poet Manzar Bhopali. Tum Ho Mahfil Mein To Meri Chashm-e-tar Dekhega Kaun is written by Manzar Bhopali. Read famous Poem Tum Ho Mahfil Mein To Meri Chashm-e-tar Dekhega Kaun for youth and Student by Manzar Bhopali. Free Download Tum Ho Mahfil Mein To Meri Chashm-e-tar Dekhega Kaun in PDF.