Anjam-e-mohabbat Se Main Begana Nahin Hun

anjam-e-mohabbat se main begana nahin hun

diwana bana phirta hun diwana nahin hun

dam bhar mein jo ho KHatm wo afsana nahin hun

insan hun insan main parwana nahin hun

saqi teri aankhon ko salamat rakkhe allah

ab tak to main sharminda-e-paimana nahin hun

ho bar na KHatir pe to naseh kahun ek baat

samjha len jise aap wo diwana nahin hun

barbaadiyon ka gham nahin gham hai to ye gham hai

miT kar bhi main KHak-e-dar-e-jaanana nahin hun

tauba tere daman pe junun-KHez nigahen

hun to magar ab itna bhi diwana nahin hun

sab kuchh mere saqi ne diya hai mujhe 'manzar'

mohtaj-e-mai-o-shisha-o-paimana nahin hun

(284) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Anjam-e-mohabbat Se Main Begana Nahin Hun In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Anjam-e-mohabbat Se Main Begana Nahin Hun is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Anjam-e-mohabbat Se Main Begana Nahin Hun for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Anjam-e-mohabbat Se Main Begana Nahin Hun in PDF.