Be-KHud Aisa Kiya KHauf-e-shab-e-tanhai Ne

be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne

subah se shama jala di tere saudai ne

hasb-e-mansha dil-e-pur-shauq ki baaton ka jawab

de diya sharm mein Dubi hui angDai ne

hu ka aalam hua us samt ko uDne lagi KHak

jis taraf ghaur se dekha tere saudai ne

qatl par mere bahae na kisi ne aansu

dad qatil ko di ek ek tamashai ne

puchhne wale bhari bazm mein qatil ko na puchh

nam tera hi agar le diya saudai ne

mangta hun dar-o-diwar se baaton ka jawab

aisa diwana kiya hai gham-e-tanhai ne

hijr ki raaton mein 'manzar' mere kaam aa aa ke

le liya mol charagh-e-shab-e-tanhai ne

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-KHud Aisa Kiya KHauf-e-shab-e-tanhai Ne In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Be-KHud Aisa Kiya KHauf-e-shab-e-tanhai Ne is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Be-KHud Aisa Kiya KHauf-e-shab-e-tanhai Ne for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Be-KHud Aisa Kiya KHauf-e-shab-e-tanhai Ne in PDF.