Dil Se Na Wahi Aur Hain Manzar Na Hamin Aur

dil se na wahi aur hain 'manzar' na hamin aur

ye waqt hai jo hum hain kahin aur wo kahin aur

hans kar nahin ab ruTh ke ek bar nahin aur

ghussa karo ghussa karo ban jao hasin aur

sab wahm tha duniya thi falak tha na zamin aur

jab aaina dekha to nazar aae hamin aur hamin aur

mera to salam us ko bahaar-e-dar-e-jaanan

tujh se agar achchhi koi jannat hai kahin aur

iqrar se inkar ke andaz hain dilkash

tum yun hi kahe jao nahin aur nahin aur

wadon mein tere ho rahi hai jitni bhi taKHir

hota chala jata hai mujhe utna yaqin aur

malik mujhe ruswai-e-mahshar se bacha le

dena hon jo de le wo sazaen bhi yahin aur

TuTe na magar silsila-e-daur-e-mohabbat

mujh ko na pilao to piye jao tumhin aur

ai lucknow ke phulo na 'manzar' ko satao

ghabra ke chala jae na be-chaara kahin aur

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Se Na Wahi Aur Hain Manzar Na Hamin Aur In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Dil Se Na Wahi Aur Hain Manzar Na Hamin Aur is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Dil Se Na Wahi Aur Hain Manzar Na Hamin Aur for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Dil Se Na Wahi Aur Hain Manzar Na Hamin Aur in PDF.