Ek Neamat Tere Mahjur Ke Hath Aai Hai

ek neamat tere mahjur ke hath aai hai

id ka chand charagh-e-shab-e-tanhai hai

qaid mein bas ye koi kah de bahaar aai hai

phir to main hun meri zanjir hai angDai hai

kitna dilchasp hai allah mera qissa-e-gham

aaj koi nahin kahta mujhe nind aai hai

zahr aur zahr ki tasir batane wale

ab samajh le ki na sauda hai na saudai hai

subh tak hoga mere ghar pe hujum-e-KHilqat

raat ki raat faqat aalam-e-tanhai hai

daman-o-jeb-o-gareban bhi nisar-e-wahshat

ab kisi baat mein zillat hai na ruswai hai

do ghaDi dil ke bahalne ka sahaara bhi gaya

lijiye aaj tasawwur mein bhi tanhai hai

muddaten guzrin hamein ashk bahate 'manzar'

aaj KHud us ne hansaya to hansi aai hai

(304) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Neamat Tere Mahjur Ke Hath Aai Hai In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Ek Neamat Tere Mahjur Ke Hath Aai Hai is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Ek Neamat Tere Mahjur Ke Hath Aai Hai for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Ek Neamat Tere Mahjur Ke Hath Aai Hai in PDF.