Gar Jazba-e-wahshat Ka Ai Dil Yahi Unwan Hai

gar jazba-e-wahshat ka ai dil yahi unwan hai

do rose ka daman hai do din ka gareban hai

hansne mein ki rone mein marne mein ki jine mein

malum nahin kis mein KHushnudi-e-jaanan hai

hum wahshiyon ka maskan kya puchhta hai zalim

sahra hai to sahra hai zindan hai to zindan hai

zindan mein KHayal itna ai dast-e-junun rakhna

ta-umr asiri hai aur ek gareban hai

allah zamane ke dil ko rakhe qabu mein

hum jaante hain manzar kyun chaak gareban hai

(335) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Jazba-e-wahshat Ka Ai Dil Yahi Unwan Hai In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Gar Jazba-e-wahshat Ka Ai Dil Yahi Unwan Hai is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Gar Jazba-e-wahshat Ka Ai Dil Yahi Unwan Hai for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Gar Jazba-e-wahshat Ka Ai Dil Yahi Unwan Hai in PDF.