Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha

marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha

wo hansi roke hue baiTha tha jis ka kaam tha

KHun-e-nahaq se mukarne ka kahan hangam tha

tir jitne dil se nikle sab par un ka nam tha

kya batai jaen sham-e-hijr ki majburiyan

dil hamara tha na hum dil ke ajab hangam tha

hijr ki do karwaTon ne kar diya qissa tamam

dard-e-dil aaghaz tha dard-e-jigar anjam tha

aise waqton mein kaleja gham se ho jata hai shaq

sabr apne dil ki mayyat par hamara kaam tha

ahl-e-mahshar dekh lun qatil ko to pahchan lun

bholi bholi shakl thi aur kuchh bhala sa sam tha

ab koi diwana kahta hai koi wahshi mujhe

aap ki ulfat se pahle mera 'manzar' nam tha

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha in PDF.