Muddat Ke Baad Aisi Sunai KHabar Mujhe

muddat ke baad aisi sunai KHabar mujhe

main nama-bar ko dekhta hun nama-bar mujhe

mahfil pe apni naz tumhein maut par mujhe

bas jao ab na dekhna kal se idhar mujhe

sau raaten ek hijr ki shab mein tamam kin

jab aankh band ki nazar aai sahar mujhe

sada waraq jawab mein ek la ke de gaya

diwana jaanta hai mera nama-bar mujhe

han thi kabhi tamiz siyah-o-safed mein

aur ab to jaisi sham hai waisi sahar mujhe

nawak kaman mein joD ke kahte hain naz se

han kaun kaun kahta hai bedad-gar mujhe

'manzar' ye shor-e-nauha gham-e-naza mein hai kyun

nakaamiyon ko rote hain ya chaara-gar mujhe

(350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Ke Baad Aisi Sunai KHabar Mujhe In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Muddat Ke Baad Aisi Sunai KHabar Mujhe is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Muddat Ke Baad Aisi Sunai KHabar Mujhe for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Muddat Ke Baad Aisi Sunai KHabar Mujhe in PDF.