Nam-e-wafa Pe De Ke Jaan Dil Ne Wafa KHarid Li

nam-e-wafa pe de ke jaan dil ne wafa KHarid li

thi bhi KHaridne ki chiz KHub kiya KHarid li

hasb-e-mazaq o hasb-e-shauq ek ek ada KHarid li

us ne jafaen mol lin main ne wafa KHarid li

zabt ka dil mein kar ke ahd un se baDhaya mel-jol

dard se pahle dard ki hum ne dawa KHarid li

ahd-e-shabab tha bahaar aur saja bahaar ko

jitni jahan mein mil saki is ne haya KHarid li

zarf se baDh ke neamat-e-ishq bhi maut ban gai

hum ne bhi to ghazab kiya had se siwa KHarid li

ishq ki kar-gah se husn ki bargah se

jis ko na aur kuchh mila is ne qaza KHarid li

dete dilate be-talab toD ke hath rakh diye

tere karam ne taqat-e-dast-e-dua KHarid li

aaj nasib-e-dushmanan chehra hai kyun udas udas

meri tarah bala-e-ishq tum ne bhi kya KHarid li

'manzar' unhen dikha ke zahr kah raha hai KHushi KHushi

lije dawa le aae mol lije shifa KHarid li

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nam-e-wafa Pe De Ke Jaan Dil Ne Wafa KHarid Li In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Nam-e-wafa Pe De Ke Jaan Dil Ne Wafa KHarid Li is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Nam-e-wafa Pe De Ke Jaan Dil Ne Wafa KHarid Li for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Nam-e-wafa Pe De Ke Jaan Dil Ne Wafa KHarid Li in PDF.