Shab-e-hijr Yun Dil Ko Bahla Rahe Hain

shab-e-hijr yun dil ko bahla rahe hain

ki din bhar ki biti ko dohra rahe hain

mere dil ke TukDe kiye ja rahe hain

mohabbat ki tashrih farma rahe hain

mera dard ja hi nahin sakta tauba

KHudai ke dawe kiye ja rahe hain

hansi aane ki baat hai hans raha hun

mujhe log diwana farma rahe hain

ajab shai hai soz-o-gudaz-e-mohabbat

ki dil jalne mein bhi maze aa rahe hain

usi bewafa pas phir kuchh umiden

liye ja rahi hain chale ja rahe hain

ziden tauba tauba haTen allah allah

hamin hain jo is dil ko bahla rahe hain

meri raat kyun kar kaTegi ilahi

mujhe din ko tare nazar aa rahe hain

na aaghaz ulfat ka achchha tha 'manzar'

na anjam achchhe nazar aa rahe hain

(336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-hijr Yun Dil Ko Bahla Rahe Hain In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Shab-e-hijr Yun Dil Ko Bahla Rahe Hain is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Shab-e-hijr Yun Dil Ko Bahla Rahe Hain for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Shab-e-hijr Yun Dil Ko Bahla Rahe Hain in PDF.