Sham-o-gul Ne Saj To Di Mahfil Teri Tere Baghair

sham-o-gul ne saj to di mahfil teri tere baghair

wo rahi apni jagah jo thi kami tere baghair

aamad-o-raft-e-nafas dushwar thi tere baghair

ek nashtar sa chubha jab sans li tere baghair

ho gain thin sab bhali baaten buri tere baghair

han magar achchhi hui to shairi tere baghair

hae dil jis ki umangen thin bahaaren bagh ki

wo meri jannat jahannam ban gai tere baghair

tha bahut mumkin ki bach jati gham-e-duniya se jaan

sach to ye hai hum ne koshish bhi na ki tere baghair

mujh ko rone se mile fursat to phir DhunDun use

hans raha hai kaun qismat ka dhani tere baghair

jaane wale ja KHuda hafiz magar ye soch le

kuchh se kuchh ho jaegi diwangi tere baghair

tere diwane bhi puje jaenge ek din yun hi

ho rahi hai jaise teri bandagi tere baghair

tera 'manzar' jo kabhi tha andalib-e-KHush-nawa

kho gaya duniya se yun chup sadh li tere baghair

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham-o-gul Ne Saj To Di Mahfil Teri Tere Baghair In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Sham-o-gul Ne Saj To Di Mahfil Teri Tere Baghair is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Sham-o-gul Ne Saj To Di Mahfil Teri Tere Baghair for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Sham-o-gul Ne Saj To Di Mahfil Teri Tere Baghair in PDF.