Taghaful Aur Karam Donon Barabar Kaam Karte The

taghaful aur karam donon barabar kaam karte the

jigar ke zaKHm bharte the to dil ke dagh ubharte the

KHuda jaane hamein kya tha ki phir bhi un pe marte the

jo din bhar mein hazaron wade karte the mukarte the

na puchho un ki taswir-e-KHyali ki sajawaT ko

udhar dil rang deta tha idhar hum rang bharte the

mohabbat ka samundar us ki maujen ai maaz-allah

dil itna Dubta jata tha jitna hum ubharte the

ajab kuchh zindagani ho gai thi hijr mein apni

na hanste the na rote the na jite the na marte the

shahidan-e-wafa ki manzilen to ye are to ye

wo rahen band ho jatin thin jin par se guzarte the

na puchho us ki bazm-e-naz ki kaifiyyaten 'manzar'

hazaron bar jite the hazaron bar marte the

(304) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taghaful Aur Karam Donon Barabar Kaam Karte The In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Taghaful Aur Karam Donon Barabar Kaam Karte The is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Taghaful Aur Karam Donon Barabar Kaam Karte The for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Taghaful Aur Karam Donon Barabar Kaam Karte The in PDF.