Us Se Ji Bhar Ke Mili Dad-e-tamanna Mujhko

us se ji bhar ke mili dad-e-tamanna mujh ko

jis ne taswir teri dekh ke dekha mujh ko

dekhne wale ye kis shan se dekha mujh ko

aaj duniya ke maze de gai duniya mujh ko

jazb-e-dil tere karishmon ne ulaT di duniya

ab sunate hain wo KHud mera fasana mujh ko

be-tahasha teri taswir pe jati hai nigah

jab koi kahta hai taqdir ka mara mujh ko

ek dhaj aalam-e-wahshat mein badalta hun rose

chahta hun ki kahen log tumhaara mujh ko

ghar ko chhoDa hai KHuda jaane kahan jaane ko

ab samajh lijiye TuTa hua tara mujh ko

dil lahu kar gaya aaghaz-e-mohabbat 'manzar'

aur abhi dekhna baqi hai natija mujh ko

(362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Se Ji Bhar Ke Mili Dad-e-tamanna Mujhko In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Us Se Ji Bhar Ke Mili Dad-e-tamanna Mujhko is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Us Se Ji Bhar Ke Mili Dad-e-tamanna Mujhko for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Us Se Ji Bhar Ke Mili Dad-e-tamanna Mujhko in PDF.