Phir Shoala-e-gul Mauj-e-saba Chahiye Yaro

phir shoala-e-gul mauj-e-saba chahiye yaro

gulnar gulistan ki faza chahiye yaro

pairahan-e-jaan chaak rahe tez hawa mein

tufan mein jine ki ada chahiye yaro

matlub ho gar shahid-e-mani ki tajalli

alfaz ki sad-rang qaba chahiye yaro

shadab nai rut se hai gulzar-e-adab bhi

phulon ko tar-o-taza hawa chahiye yaro

jitne bhi dariche hain sabhon ko na karo band

ek aadh daricha to khula chahiye yaro

shishe ki koi chiz salamat na rahegi

is daur mein patthar ki ana chahiye yaro

dil sang-e-malamat se hina-rang hai lekin

kuchh aur rifaqat ka sila chahiye yaro

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Shoala-e-gul Mauj-e-saba Chahiye Yaro In English By Famous Poet Manzar Shahab. Phir Shoala-e-gul Mauj-e-saba Chahiye Yaro is written by Manzar Shahab. Read famous Poem Phir Shoala-e-gul Mauj-e-saba Chahiye Yaro for youth and Student by Manzar Shahab. Free Download Phir Shoala-e-gul Mauj-e-saba Chahiye Yaro in PDF.