Wo Gham-gusar Bil-aKHir Bala-e-jaan Nikla

wo gham-gusar bil-aKHir bala-e-jaan nikla

jise zamin samajhte the aasman nikla

azim-tar hai mohabbat mein ruh ka rishta

magar badan ka talluq bhi darmiyan nikla

suragh-e-qatl shahadat subut sab gunge

lahu KHamosh tha KHanjar bhi be-zaban nikla

tamam raste mazi ke band the phir bhi

har ek moD se yaadon ka karwan nikla

suni jo meri kahani to ro paDe sab log

sabhon ke dard mein ek rishta-e-nihan nikla

hum apne gham ka fasana kaha kiye shab-bhar

hui jo subh to zikr-e-gham-e-jahan nikla

'shahab' jis ki KHitabat ka shor hai yaro

ghazal ki bazm mein kam-saut-o-kam-bayan nikla

(530) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Gham-gusar Bil-aKHir Bala-e-jaan Nikla In English By Famous Poet Manzar Shahab. Wo Gham-gusar Bil-aKHir Bala-e-jaan Nikla is written by Manzar Shahab. Read famous Poem Wo Gham-gusar Bil-aKHir Bala-e-jaan Nikla for youth and Student by Manzar Shahab. Free Download Wo Gham-gusar Bil-aKHir Bala-e-jaan Nikla in PDF.