Payab Mauj UTThi To Sar Se Guzar Gai

payab mauj uTThi to sar se guzar gai

ek sarw-qad jawan ki dastar utar gai

karne laga tha gharq samundar jahan ko

tufan hi maujzan tha jahan tak nazar gai

us tirgi mein barq ki shoKHi ajib thi

aabaad wo hua jise viran kar gai

soe badan ke bahr mein jagi thi KHun ki lahr

jab chaDh ke sar tak aai to jaane kidhar gai

sehn-e-chaman mein dil ke lahu ki har ek bund

patte ko phul shaKH ko talwar kar gai

naseh ne ku-e-yar ka rasta bhula diya

achchha hua ki hasrat-e-didar mar gai

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Payab Mauj UTThi To Sar Se Guzar Gai In English By Famous Poet Manzoor Arif. Payab Mauj UTThi To Sar Se Guzar Gai is written by Manzoor Arif. Read famous Poem Payab Mauj UTThi To Sar Se Guzar Gai for youth and Student by Manzoor Arif. Free Download Payab Mauj UTThi To Sar Se Guzar Gai in PDF.