Wufur-e-shauq Mein Jab Bhi Kalam Karte Hain
wufur-e-shauq mein jab bhi kalam karte hain
to harf harf ko husn-e-tamam karte hain
ghane daraKHton ke sae ki umr lambi ho
ki in ke niche musafir qayam karte hain
use pasand nahin KHwab ka hawala bhi
to hum bhi aankh pe ninden haram karte hain
na KHushbuon ko pata hai na rang jaante hain
parind phulon se kaise kalam karte hain
rawan-dawan hain hawa par swariyan kaisi
jinhen daraKHt bhi jhuk kar salam karte hain
chaman mein jab se use sair karte dekh liya
usi ada se ghazalan KHiram karte hain
ab is ko yaad na hoga hamara chehra bhi
tamam shaeri hum jis ke nam karte hain
(353) Peoples Rate This