Tilism-e-koh-e-nida Jab Bhi TuT Jaega

tilism-e-koh-e-nida jab bhi TuT jaega

to karwan-e-sada bhi palaT ke aaega

khinchi rahengi saron par agar ye talwaren

mata-e-zist ka ehsas baDhta jaega

hawaen le ke uDengi to barg-e-awara

nishan kitne nae raston ka paega

main apne qatl pe chiKHa to dur dur talak

sukut-e-dasht mein ek irtiash aaega

kiwaD apne isi Dar se kholte nahin hum

siwa hawa ke unhen kaun khaTkhaTaega

hawaen gard se har raste ko Dhak dengi

hamare baad koi qafila na jaega

yunhi Dubota raha kashtiyan agar sailab

to sath-e-ab pe chalna bhi aa hi jaega

(408) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Tilism-e-koh-e-nida Jab Bhi TuT Jaega In English By Famous Poet Manzoor Hashmi. Tilism-e-koh-e-nida Jab Bhi TuT Jaega is written by Manzoor Hashmi. Read famous Poem Tilism-e-koh-e-nida Jab Bhi TuT Jaega for youth and Student by Manzoor Hashmi. Free Download Tilism-e-koh-e-nida Jab Bhi TuT Jaega in PDF.