Na Kuchh Sawal Kiya Aur Na Kuchh Gila Mujhse

na kuchh sawal kiya aur na kuchh gila mujh se

ajib shaKHs tha mil kar bichhaD gaya mujh se

tu apni zat mein ek manzil-e-wafa hai magar

main wo charagh ki raushan hai rasta mujh se

kisi ne chhin li binai meri aankhon ki

kisi ne aaina mansub kar diya mujh se

maza to jab hai teri justuju mein jaan-e-bahaar

mere wajud ka ho jae samna mujh se

bujha diya to andheron ne aa ke gher liya

jala diya to ulajhne lagi hawa mujh se

wo sab se chhup ke mere ghar to aa gaya lekin

supurdagi ka taqaza na kar saka mujh se

jawab kuchh bhi diya jae gham nahin 'manzar'

sawal ye hai ki puchhega kya KHuda mujh se

(318) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Kuchh Sawal Kiya Aur Na Kuchh Gila Mujhse In English By Famous Poet Manzoor Imakni. Na Kuchh Sawal Kiya Aur Na Kuchh Gila Mujhse is written by Manzoor Imakni. Read famous Poem Na Kuchh Sawal Kiya Aur Na Kuchh Gila Mujhse for youth and Student by Manzoor Imakni. Free Download Na Kuchh Sawal Kiya Aur Na Kuchh Gila Mujhse in PDF.