TariKH Ka Nauha

shahon ko KHabar nahin ho saki

ki bulldozeron se haTai gai mayyaton ki Dher mein

kis kis ke ehram par lahu ne aayaten raqam kin

hajiyon ki jama punji se munafea baTorti hukumaten

aab-e-zam-zam ke chashme aur petrol ke kuen mein

tamiz karna bhul jaen

to KHun ki lakir haram se nikal kar mina tak pahunch jati hai

shahi farman ko ibaadat ka darja dene wale

muftiyon ne ye kabhi nahin dekha

ki tariKH kai bar taKHt ko taKHta bante hue dekh chuki hai

shaitan ko patthar marta hua hujum

apne aap ko raund kar KHak mein mil jata hai

aur mansur anal-haq kah kar har daur mein amar hota raha

KHuda

nadamat ke aansu rone walon ko

muaf karne mein der nahin karta

aur shaitan intiqam lena nahin bhulta

lekin hum bhul jate hain

ki mehrab masjid ke hon ya mathon ke

nekiyon aur badiyon ka hisab sirf KHuda ke pas hai

gin gin kar patthar marne wale

un kankaron ki ginti bhul chuke hain

jo ababilon ne hathiyon par girae the

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TariKH Ka Nauha In English By Famous Poet Maqsood Wafa. TariKH Ka Nauha is written by Maqsood Wafa. Read famous Poem TariKH Ka Nauha for youth and Student by Maqsood Wafa. Free Download TariKH Ka Nauha in PDF.