Zaibunnisa Ek Nazm Tumhaare Liye Bhi

kya ajab sham hai! dekho zaibunnisa

fursaton mein kisi peD ki narm chhanw mein sochi hui

aabshaaron se girte hue paniyon mein nahai hui

tere malbus ki KHushbuon ko uDati hui

kya ajab sham hai

tere shanon pe aanchal Thaharta nahin

aur tu ne hawa ko bahana kiya

kitni chaalak ho

chae mein apni poron ki shiriniyan ghol kar puchhti ho

ki chini ke kitne chammach lijiyega

samajh ye rahi ho

ki hum tere sanson ki aur teri dhaDkan ki raftar ko jaante hi nahin hain

sunahri faza ko hansati hui sada laDki

tujhe kya KHabar hai

ajab zaiqa ban gaya hai luab-e-dahan

chhu ke dekha nahin aur azbar kiya tera sara badan

tere tan se lipaTti chali ja rahi hai meri har nazar

kis tarah se chhupaega tera badan

ye tera pairahan

(405) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaibunnisa Ek Nazm Tumhaare Liye Bhi In English By Famous Poet Maqsood Wafa. Zaibunnisa Ek Nazm Tumhaare Liye Bhi is written by Maqsood Wafa. Read famous Poem Zaibunnisa Ek Nazm Tumhaare Liye Bhi for youth and Student by Maqsood Wafa. Free Download Zaibunnisa Ek Nazm Tumhaare Liye Bhi in PDF.