Bashinde Haqiqat Mein Hain Hum Mulk-e-baqa Ke

bashinde haqiqat mein hain hum mulk-e-baqa ke

kuchh rose se mehman hain is dar-e-fana ke

dil KHun ho shab-e-wasl bhi hasrat mein na kyun-kar

dekhen na wo KHalwat mein bhi jab aankh uTha ke

farmaiye hum se thi yahi shart-e-mohabbat

KHub aap ne ruswa kiya ghairon mein bula ke

kuche mein na aae koi main jaan gaya hun

farmate ho mujh se ye raqibon ko suna ke

dil hath se kho jata hai kis taur se zahid

to aap zara dekh le us kuche mein ja ke

KHak-e-dar-e-jaanan hai libas-e-tan-e-uryan

aashiq tere mohtaj nahin aur qaba ke

hum sar ke bal aaenge jo bulwaoge sahab

gar ho na yaqin dekh lo tum chaho bula ke

ho saya-e-diwar tumhaara jo mayassar

phir kya karen farmaiye sae ko huma ke

dil khol ke kar lijiye ai hazrat-e-dil sair

hum phir ke na phir aaenge is bazm se ja ke

tan KHak mein mil jaega ek rose hamara

ji tan se nikal jaega manind hawa ke

(350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bashinde Haqiqat Mein Hain Hum Mulk-e-baqa Ke In English By Famous Poet Mardan Ali Khan Rana. Bashinde Haqiqat Mein Hain Hum Mulk-e-baqa Ke is written by Mardan Ali Khan Rana. Read famous Poem Bashinde Haqiqat Mein Hain Hum Mulk-e-baqa Ke for youth and Student by Mardan Ali Khan Rana. Free Download Bashinde Haqiqat Mein Hain Hum Mulk-e-baqa Ke in PDF.