Kar Chuka Qaid Se Jis Waqt Ki Aazad Mujhe

kar chuka qaid se jis waqt ki aazad mujhe

hath malta hi raha dekh ke sayyaad mujhe

umr bhar yun to kabhi li bhi na karwaT pas-e-marg

haif rah-rah ke kiya karte hain ab yaad mujhe

hukm darban ko hai zinhaar na aane pae

ghair ke samne karte hain magar yaad mujhe

baghban gulshan-e-alam ka main wo bulbul hun

taer-e-sidra kaha karta hai ustad mujhe

ham-safiron ko mera haal khulega pas-e-marg

dekhna dil mein karenge wo bahut yaad mujhe

sahn-e-gulshan mein mere phul karenge gulchin

roega suna qafas dekh ke sayyaad mujhe

rah-e-ulfat mein mulaqat hui kis kis se

dasht mein qais mila koh mein farhad mujhe

ghaib se hote hain ilqa mere dil mein mazmun

dekh faizan suKHan ka hai KHuda-dad mujhe

sabz bagh aata hai duniya ka nazar jab 'rana'

yaad aati hai bahut hasrat-e-shaddad mujhe

(362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kar Chuka Qaid Se Jis Waqt Ki Aazad Mujhe In English By Famous Poet Mardan Ali Khan Rana. Kar Chuka Qaid Se Jis Waqt Ki Aazad Mujhe is written by Mardan Ali Khan Rana. Read famous Poem Kar Chuka Qaid Se Jis Waqt Ki Aazad Mujhe for youth and Student by Mardan Ali Khan Rana. Free Download Kar Chuka Qaid Se Jis Waqt Ki Aazad Mujhe in PDF.