Wo Masiha Qabr Par Aata Raha

wo masiha qabr par aata raha

main mue par rose ji jata raha

zindagi ki hum ne mar-mar ke basar

wo but-e-tarsa jo tarsata raha

wah baKHt-e-na-rasa dekha tujhe

nama-bar se KHat kahin jata raha

rah takte takte aaKHir jaan gai

wo taghaful-kesh bas aata raha

dil to dene ko diya par ham-nashin

hath main mal mal ke pachhtata raha

dekh us ko ho gaya main be-KHabar

dil yakayak hath se jata raha

kya kahun kis tarah furqat mein jiya

KHun-e-dil pita to gham khata raha

raat bhar us barq-wash ki yaad mein

sail-e-ashk aankhon se barsata raha

DhunDhta phirta hun us ko ja-ba-ja

dil KHuda jaane kidhar jata raha

us masiha ki umid-e-wasl mein

sham jita subh mar jata raha

ishq ka 'rana' maraz hai la-dawa

kab suna tu ne ki wo jata raha

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Masiha Qabr Par Aata Raha In English By Famous Poet Mardan Ali Khan Rana. Wo Masiha Qabr Par Aata Raha is written by Mardan Ali Khan Rana. Read famous Poem Wo Masiha Qabr Par Aata Raha for youth and Student by Mardan Ali Khan Rana. Free Download Wo Masiha Qabr Par Aata Raha in PDF.