Kaam Itna Mere Pyare CharKH-e-kuhan Se Nikle

kaam itna mere pyare charKH-e-kuhan se nikle

tum se na hun juda main jab jaan tan se nikle

tum haalat-e-naza mein bhi pas mere rahna

ta kalima-e-mohammad mere dahan se nikle

yarab na ta-qayamat muhtaj hun kisi ka

jo ho meri tamanna wo panj-tan se nikle

wahshat na qabr mein ho tum samne hi rahna

dast-e-junun na mera bahar kafan se nikle

hai lutf zindagi ka baad-az-fana usi mein

nam-e-KHuda jo apne sab tan-badan se nikle

roza namaz tasbih pahunchaenge na wan tak

hoga visal usi ko jo ma-o-man se nikle

apni KHabar na baqi rah jaegi kisi ko

parde se gar kahin wo ek bankpan se nikle

yaad-e-qad-e-sanam mein main dun misal us waqt

jab kaam koi mera sarw-e-chaman se nikle

'mardan' jo koi Dube dariya-e-ishq mein wo

chhoTe KHudi se apne hubb-e-watan se nikle

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Itna Mere Pyare CharKH-e-kuhan Se Nikle In English By Famous Poet Mardan Safi. Kaam Itna Mere Pyare CharKH-e-kuhan Se Nikle is written by Mardan Safi. Read famous Poem Kaam Itna Mere Pyare CharKH-e-kuhan Se Nikle for youth and Student by Mardan Safi. Free Download Kaam Itna Mere Pyare CharKH-e-kuhan Se Nikle in PDF.