Lakh Dekhun Tujhe Phirti Nahin Niyyat Meri

lakh dekhun tujhe phirti nahin niyyat meri

dil hai qabu mein mera ab na tabiat meri

aa ke pahlu mein mere baiTh main ho jaun nisar

hai tamanna to yahi hai yahi hasrat meri

dam-e-aKHir tu mere pas bhala aa be-dard

teri furqat mein koi dam mein hai ruKHsat meri

qabr par meri agar fatiha paDhne ke liye

wo jo aa jaen to tharra uThe turbat meri

tum ko dekha karun har waqt sarapa hun fana

karti rah rah ke taqaza hai ye haalat meri

zinda dargor hun lekin mujhe zinda na samajh

ek muddat jo yahi rah gai haalat meri

kushta-e-naz hun jin ka hai unhin ka kaunain

sarwat-e-jam se uThegi wo hai mayyat meri

baad-e-murdan bhi main bimar-e-mohabbat hi rahun

ta-qayamat na ho yarab kabhi sehat meri

hech duniya hai zar-o-mal hai sab hech magar

ek mohabbat teri 'mardan' hai ye daulat meri

(467) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakh Dekhun Tujhe Phirti Nahin Niyyat Meri In English By Famous Poet Mardan Safi. Lakh Dekhun Tujhe Phirti Nahin Niyyat Meri is written by Mardan Safi. Read famous Poem Lakh Dekhun Tujhe Phirti Nahin Niyyat Meri for youth and Student by Mardan Safi. Free Download Lakh Dekhun Tujhe Phirti Nahin Niyyat Meri in PDF.