Na Gul Se Kaam Hai Hum Ko Na Kuchh Gulzar Se Matlab

na gul se kaam hai hum ko na kuchh gulzar se matlab

ba-jaan rakhte hain ek hamdam badal ek yar se matlab

na kaam aalam se hai hum ko na hur-ul-ain-e-jannat se

hai ek madhosh dana-tar ba-dil-hoshiyar se matlab

na millat hai na mazhab hai na hai matlab koi apna

visal-e-yar mazhab hai aur hai didar se matlab

tasawwur hai na kaam apna siwa murshid ki nisbat ke

tujhe hai in dinon ai dil shah-e-karrar se matlab

kaha makru-o-makrullah KHair-ul-makrin jis ne

chhupa KHud mujh ko zahir kar hai us makkar se matlab

main wo wasil hun dilbar se ki dil apna hai wo dilbar

raha dil hi se kaam apna usi gham-KHwar se matlab

na hum ye hain na hum wo hain na hum hargiz hain goshe mein

ghulam-e-qul-ho-allah hain isi izhaar se matlab

na kafir hain na momin hain na masjid hai na mai-KHana

na tasbih-o-musalla hai na hai zunnar se matlab

na hum aadam na hawwa hain na hum hur-o-malak yaro

na hum ganjina pinhan hain na hai izhaar se matlab

zawal-e-jaan-o-tan hai yan na hirs-o-ma-o-man baqi

habab-e-ab-e-dariya hain na hai iftar se matlab

nasab ho ya hasab donon mubarak howen zahid ko

tujhe to hai faqat 'mardan' shah-e-abrar se matlab

(474) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Gul Se Kaam Hai Hum Ko Na Kuchh Gulzar Se Matlab In English By Famous Poet Mardan Safi. Na Gul Se Kaam Hai Hum Ko Na Kuchh Gulzar Se Matlab is written by Mardan Safi. Read famous Poem Na Gul Se Kaam Hai Hum Ko Na Kuchh Gulzar Se Matlab for youth and Student by Mardan Safi. Free Download Na Gul Se Kaam Hai Hum Ko Na Kuchh Gulzar Se Matlab in PDF.