Tu Hi Hai Meri Ye Bud-o-baqa Tu Aur Nahin Main Aur Nahin

tu hi hai meri ye bud-o-baqa tu aur nahin main aur nahin

dekha jo apne ko tu hi mila tu aur nahin main aur nahin

tu hi adam ka tha parda-nashin mere dil ke makan ka hai tu hi makin

meri hasti hai sab ye zuhur tera tu aur nahin main aur nahin

mere hosh-ruba ne hai fazl kiya mujhe raaz-e-KHudai apna diya

meri ruh mein ruh mila ke kaha tu aur nahin main aur nahin

kahta hai ye mujh se mera sanam ki hain ek hi ye donon hudus-o-qidam

kuchh farq nahin is mein hai zara tu aur nahin main aur nahin

'mardan-safi' mera mah-e-laqa hai meri hi shakl mein jalwa-numa

mujh se ye kahta hai kah de khula tu aur nahin main aur nahin

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Hi Hai Meri Ye Bud-o-baqa Tu Aur Nahin Main Aur Nahin In English By Famous Poet Mardan Safi. Tu Hi Hai Meri Ye Bud-o-baqa Tu Aur Nahin Main Aur Nahin is written by Mardan Safi. Read famous Poem Tu Hi Hai Meri Ye Bud-o-baqa Tu Aur Nahin Main Aur Nahin for youth and Student by Mardan Safi. Free Download Tu Hi Hai Meri Ye Bud-o-baqa Tu Aur Nahin Main Aur Nahin in PDF.