UDte Hue Parindon Ke Shah-par SameT Lun

uDte hue parindon ke shah-par sameT lun

ji chahta hai sham ke manzar sameT lun

lab par ugaun us ke dhanak phul qahqahe

aaankhon mein us ki phaila samundar sameT lun

pahle milan ka phul khile ruh mein teri

bahon mein tujh ko le ke tere Dar sameT lun

mumkin nahin hai phir bhi main ye chahta hun kyun

aKHbar par sulagte hue ghar sameT lun

chadar dun apne ahd ki zainab ko aur baDhun

nezon pe jo saje hain sabhi sar sameT lun

(364) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

UDte Hue Parindon Ke Shah-par SameT Lun In English By Famous Poet Marghoob Ali. UDte Hue Parindon Ke Shah-par SameT Lun is written by Marghoob Ali. Read famous Poem UDte Hue Parindon Ke Shah-par SameT Lun for youth and Student by Marghoob Ali. Free Download UDte Hue Parindon Ke Shah-par SameT Lun in PDF.