Yaqin Gum Ho Chuka Humse Guman Mahfuz Rakkha Hai

yaqin gum ho chuka hum se guman mahfuz rakkha hai

KHayal-o-KHwab sa rangin jahan mahfuz rakkha hai

hua mismar sab lekin jahan tum ghar banate the

wo dil ka ek TukDa jaan-e-jaan mahfuz rakkha hai

shikasta ho chuke jal bujh chuke tariKH shahid hai

fazaon mein magar ab tak dhuan mahfuz rakkha hai

zamin par jo bhi mumkin tha wo sab kuchh kar liya yarab

hai hum se dur tera aasman mahfuz rakkha hai

nahin mumkin magar yun bhi hua dil ke samundar mein

hui gharqab kashti baadban mahfuz rakkha hai

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin Gum Ho Chuka Humse Guman Mahfuz Rakkha Hai In English By Famous Poet Marghoob Ali. Yaqin Gum Ho Chuka Humse Guman Mahfuz Rakkha Hai is written by Marghoob Ali. Read famous Poem Yaqin Gum Ho Chuka Humse Guman Mahfuz Rakkha Hai for youth and Student by Marghoob Ali. Free Download Yaqin Gum Ho Chuka Humse Guman Mahfuz Rakkha Hai in PDF.