Aankhon Ko Ashk-bar Kiya Hai Kabhi Kabhi

aankhon ko ashk-bar kiya hai kabhi kabhi

yun tera intizar kiya hai kabhi kabhi

mahshar ko darkinar kiya hai kabhi kabhi

tujh par jo eatibar kiya hai kabhi kabhi

KHun-e-jigar se hum ne gulon ko nikhaar kar

gulshan ko pur-bahaar kiya hai kabhi kabhi

us aastana-e-naz se nafrat bhi ki magar

sajda bhi bar bar kiya hai kabhi kabhi

hum ne tumhaari yaad ke daghon se bhar ke dil

dil-gashta-e-bahaar kiya hai kabhi kabhi

saqi ne de ke jam kiya hum ko shadman

waiz ne sogwar kiya hai kabhi kabhi

'marghub' teri di hui diwangi ka faiz

hasti ko tar tar kiya hai kabhi kabhi

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ko Ashk-bar Kiya Hai Kabhi Kabhi In English By Famous Poet Marghoob Asar Fatmi. Aankhon Ko Ashk-bar Kiya Hai Kabhi Kabhi is written by Marghoob Asar Fatmi. Read famous Poem Aankhon Ko Ashk-bar Kiya Hai Kabhi Kabhi for youth and Student by Marghoob Asar Fatmi. Free Download Aankhon Ko Ashk-bar Kiya Hai Kabhi Kabhi in PDF.