Ab Koi Hujjat Nahin Iqrar Ko Inkar Se

ab koi hujjat nahin iqrar ko inkar se

ishq ne pali faraghat husn ki sarkar se

is ada-e-be-niyazi par hai hairan aankh bhi

aa gae dil mein magar puchha na pahre-dar se

gard-aluda thin aankhen intizar-e-dost mein

dhul rahi hain wasl mein wo aansuon ki dhaar se

wapsi hogi wahin par is ka andaza na tha

nachta nanga chala tha aadmi jab ghaar se

lafz mein jadu nahin hai ek haqiqat hai janab

hum hifazat kar rahe hain kaghzi talwar se

nikhat-o-shadabi-e-gul hai chaman ka imtiyaz

aadmi pahchana jata hai faqat kirdar se

mujh se us ki bad-gumani garche poshida nahin

baat banti hai 'asar' ki bahami guftar se

(357) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Koi Hujjat Nahin Iqrar Ko Inkar Se In English By Famous Poet Marghoob Asar Fatmi. Ab Koi Hujjat Nahin Iqrar Ko Inkar Se is written by Marghoob Asar Fatmi. Read famous Poem Ab Koi Hujjat Nahin Iqrar Ko Inkar Se for youth and Student by Marghoob Asar Fatmi. Free Download Ab Koi Hujjat Nahin Iqrar Ko Inkar Se in PDF.