Darmiyan Aa Rahi Hai Nafrat Kyun

darmiyan aa rahi hai nafrat kyun

jab gale mil gae shikayat kyun

aadmi tum bhi aadmi hum bhi

phir hui KHatm aadamiyat kyun

ho gaya ishq aap ko shayad

umr is mein nai musibat kyun

kaun rakh paya mal-o-daulat ko

jaane wale se ye mohabbat kyun

thak gaya hai mera sitamgar kya

sans le lene ki ijazat kyun

sab ki maen bhi beTiyan hi thin

aaj beTi bani musibat kyun

aap ka sher bolta hai 'asar'

KHud-satai ki phir zarurat kyun

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darmiyan Aa Rahi Hai Nafrat Kyun In English By Famous Poet Marghoob Asar Fatmi. Darmiyan Aa Rahi Hai Nafrat Kyun is written by Marghoob Asar Fatmi. Read famous Poem Darmiyan Aa Rahi Hai Nafrat Kyun for youth and Student by Marghoob Asar Fatmi. Free Download Darmiyan Aa Rahi Hai Nafrat Kyun in PDF.