Harim-e-naz Se Aata Hai Bahra-war Koi

harim-e-naz se aata hai bahra-war koi

dil aaina pe liye naqsh-e-fi-hajar koi

hisar-e-dard ki unchai baDhti jati hai

KHushi ki aandhiyan aa kar banaen dar koi

paDa hai yaadon ke hujre mein qufl muddat se

hanuz deta hai dastak si mo'atabar koi

chamakti rah to nazron se hai abhi ojhal

charagh-e-charKH ki milti nahin KHabar koi

ye sham Dale hue tan pe surmai chadar

gila karegi siyah-shab se muKHtasar koi

tamam KHwahishen KHashak mein huin tabdil

ghaDi mein shoala na kar de kahin sharar koi

teri zaban se lipTi hai chashni-e-hawas

kahan se aae teri baat mein 'asar' koi

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harim-e-naz Se Aata Hai Bahra-war Koi In English By Famous Poet Marghoob Asar Fatmi. Harim-e-naz Se Aata Hai Bahra-war Koi is written by Marghoob Asar Fatmi. Read famous Poem Harim-e-naz Se Aata Hai Bahra-war Koi for youth and Student by Marghoob Asar Fatmi. Free Download Harim-e-naz Se Aata Hai Bahra-war Koi in PDF.